Saturday 14 April 2012

sapne chur ho...........................

Kabhi kabhi sapne chur ho jate hain....
Halaat se log dur ho jate hain
Par kuch yaadein itni haseen hoti hai ki
Unhe yaad karne ko hum majboor ho jate hain!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

bhula kar dekh lo.....................

Reh na paoge bhula kar dekh lo,
Yakin na aaye to aajma kar dekh lo,
Har jagah mehsus hogi meri kami,
Apni mehfil ko kitna bhi saja kar dekh lo!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

dhoka khaya hai......................

Jabse pyaar mein dhoka khaya hai,
Har husnwaale se dar lagta hai,
Andheron ki to aadat nahi thi hamein,
Ab yeh alam hai ke ujale se bhi dar lagta hai!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Phir kahin door.............................

Phir kahin door se ik baar sada do mujko,
Meri tanhai ka ehsaas dila do mujhko,
Tum to chand ho tumhe meri zaroorat kya hai,
Main diya hoon kisi chaukhat pe jala do mujko!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!1

Intazar Nahi Karti................................

Zindagi Kisi Ka Intazar Nahi Karti,
Tanhai Kabhi Bewafai Nahi Karti..
Aapse Dur Hone Ka Gum Hai Warana,
Parachai Kabhi Jisam Pe Vaar Nahi Karti!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

kuch kehna chahta hai............................

Raat ka andhera kuch kehna chahta hai….
yeh chand chandni ka sath rehna chahta hai…
hum to tanha hi khush the…
mager pta nhi kyu yeh dil ab kisi ka sath rehna chahta hai!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Pyaar Kiya Tha........

Mene Bhi Kisi Se Pyaar Kiya Tha,
Thoda Nhi Beshumar Kiya Tha,
Humari To Zindagi Hi Badal Gayi Jub Usne Kaha,
Are Yar… Mene To Majak Kiya Tha!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

chand hai tu..........................

Tu na jane kaun hai tu
udasi bhare chero ki mushkan hai tu
hote hai jb gam k badal asman me
th baadlo k beech se nikalta hua chand hai tu!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

nahi rote..............................

Agar hum aansu hote to
aapki aankho se girkar marna pasand karte,
aur agar aap meri aankho ke aansu hote to
wada hai dost hum zindagi bhar nahi rote!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

unki ada hai...........................

Shayad unki ada hai ye jo har din hume tadpate hain wo
Kabi kisi to kabhi kisi bahane se hume satate hain wo,
Na jane kya milta hai unhe jo humpe yeh sitam dhate hain wo
Chain hi nahi milta unhe jab tak hume rulate nahi hain wo!!!!!!!!!!!!!!