Friday 30 December 2011

Khamoshi.................

Kisi Lutere Ne Nahin-Mujhe To Teri Sadgi Ne Lutliya,
Kisi Waqt Ne Nahin-Mujhe To Tere Intezar Ne Mardiya,
Kisi Khanjar Ne Nahi-Mujhe To Tere Alfazo Ne Zakhmikiya,
Are Ab to Gussa Chhod De – Mujhe Teri Khamoshi Ne Mardiya...........



                           (¨`·.·´¨) Always
                             `·.¸(¨`·.·´¨) Keep
                               (¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
                                  `·.¸.·´

Beshrm Pyar..................

Wo ayenge gar pr mere,
sun k mout ki kabr meri,
yaro zara kafan hata dena,
kamaskam deedar tho hoga myyat ko meri.
Dek k agar wo ro dhe tho utha dena,
agar kamosh rahe tho chera chupa dena,
humse agar wo krti hai mohabbt tho izhar wo karegi,
agar na kare izar tho beshrm ko mar k batha dena..............

kafan............................

Kisi Aur k nam ki mehandi
apne hatho me tho tum saja chuki ho,
sirf rang utar na baki hai,
hamara dil tod k tum hamari jaan lechuki ho,
sirf kafan se chupana baki hai...............

Bhula dena..............


Zamane bhar ki baaton mein hamein na bhula dena,
Jab kabhi yaad aaye to zara sa muskura dena,
Zinda rahe to milenge bar-bar sanam,
Nahi to har Diwali mere naam ka diya jala dena..............

Teri Yaadon Se................

Kis Tarah Teri Yaadon Se Kinara Kar Loon,
Teri Judai Ke Sitam Kaise Gawara Kar Loon,
Main Tujhse Bichhoodkar Jiyoon Toh Kaise Jiyoon,
Sochta Hoon Ab Maut Ko Hi Apna Sahara Kar Loon...........

Pyar ki Barsat......................

Kab Howi pyar ki Barsat Mujhe Yaad Nahi
Khof mein doobi mulaqat Mujhe Yaad Nahi
Mai to Madhosh tha kuch itna Uski Chahat Mein
Us Ne Kab Chorr Diya Sath Mujhe Yaad Nahi.................

Chhoti Baatein.............

Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi Yaadein
Hamse Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein
Ab Kaise Kahein Ham Tumse Ye Dost Teri Baatein
Hame Har Pal Yaad Dilata Hai Teri Har Chhoti Chhoti Baatein....

Hum be hosh kho baithe.............

Aapki is dil lagi me hum apna dil kho baithe
Kal tak us khuda k the aaj apke ho baithe.
Pyar suna to tha diwana kr deta hai
Aaj khud krke hum bhi hosh kho baithe...............

zulfein teri suljha du.............



Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,
Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,
Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,
Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.

Muskaan pe.....................

Hum to lut gaye unki ek muskaan pe,
Adayein dekhkar phas gaye mohabbat mein,
Gar khuda bhi punche qayamat pe,
To keh denge ki mit gaye sharafat mein..............

Yeh raat itni tanha......................

Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte
usi se mohabbat kyun hoti hai..........

tere labo ko.......................

Hasta hua rakhu tere labo ko hamesha,
Chumkar jinhe woh pyaari muskaan de jaoo,
Seene se laga ke rakhu tumhe,
mann to karta hai tujhme sama jau..............

Kyoun Badnaam Karte Ho .......................

Anjaan Hai, Anjaan Hi Rahne Do
Kisi Ki Yaado Me Pal Pal Yun Hi Marne Do
Kyoun Badnaam Karte Ho Humara Naam Leke
Ab Toh Iss Naam Ko Benaam Hi Rahne Do........

Deedar K Intezaar Me.................

Bin Aapke Kuch Bhi Aacha Nahi Lagta,
Ab Mera Wajood Bhi Saccha Nahi Lagta.
Sirf Aapke Deedar K Intezaar Me Kat Rahi Hai Zindagi..,
Varna Kabki Maut Ki Aagosh Me So Jati Ye Zindagi.
Laut Aao K Aapke B’gair Ek Lamha Nahi Kat Ta
Bin Aapke Kuch Bhi Accha Nahi Lagta..............

Yaad......................

Yaad toh har koi karega jaane ke baad
sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad
kaun kitni mohabbat karta hai
nazar aajayega mar jaane ke baad..........

Meri deewangi.........

Meri deewangi ko dekh ke muskuraate hai kyu
mein jitna paas jau utna door jate hai kyu
kuch toh vajah zaroor hogi unki berukhi ki
mujhe aise har pal sataate hai kyu...........

Tarapthe hai....................

Tarapthe woh hain jinn ko koi ehsaas ho,
door kar ke dua karthe hain, kaash woh mere paas ho,
yeh judaai ke pal khud rothe hai tumari yaad main…
faryaad karthe hai dard ka bi koi insaaf ho..............

Milna Zaruri Nahi...........

Pyaar Mein Milna Zaruri Nahi,
Pyaar Mein Izhaar Bhi Zaruri Nahi,
Zaruri Sirf Ehsaas Hai Jo Zindagi Sawarde,
Unhe Pana Ya Na Pana Zaruri Nhi….......

Pyar mat karna..............

Koi achha lage to usse pyar mat karna,
Uske liye neendein bekaar mat karna,
Do din to aayenge khushi se milne,
Teesre din kahenge mera intezar mat karna…

Tamam Muskrahto Kisi kam ke..............

Ye Zamne Ki Wafye Mere kam ki nahi,
Muje Uski Wafa Chahiye kisi Aam ki nahi,
Uski to Ek Muskraht B Anmol Thi,
Ye Tamam Muskrahto Kisi kam ke...........

Thursday 29 December 2011

Intezaar................

Tere intezaar may choda duniya ka sath,
Tere intezaar may choda apno ka sath,
Jb tujhey jana hi tha tu kyu diya wado ka sath,
Rah gaya ab may bs apno gamo k saath…

Pyar karna nai aatha...............

Kehte hai mujko pyar karna nai aatha,
kya sabooth dhu mere pyar ki,
uss ki yaad me hasna bhulgaya,
uss ki pyaar me khudh ko pehchanna paaya…

kaajal yuhi rahene do.............

Yeh kaajal yuhi rahene do,
Apne naino k talee,
Khubsurat kar deti hai yeh kaajal,
Tumhare naino k liye,
Nazar se bachayegi yeh kaajal,
Tumhari khubsurti k liye,
Rehene do yuhi yeh kaajal,
Apne naino k liya................

kismet bhi meri.............

Yeh kismet bhi na meri, haad kar deti har baar
Na jaane kyun, majboor kar deti
Jinee ko har bar.
Ab jiya bhi na jaaye humse,tanha iss jaha main
Koi tho ban jaa-o wazood,mera jine ka iss jaha main.....

Dil ki chori..............................

Aik tau dil ki chori karte ho
Ooper se seena zori karte ho
Hum se tau aisa ho nahein sakta
Aur tum zora zori karte ho
Mere khilaaf badhkaate ho sab ko
Logoon se meri chugalkhori karte ho
Mujh se jhoota pyaar jataa kar
Youn apna dil pashori karte ho
Pehle  Asghar ka fon number milaate ho
aur phir sorry sorry karte ho…

Dhadkan ki pukaar..............



Har ek dhadkan ki pukaar ban gaye ho tum,
har ek saans ki agaaj ban gaye ho tum.
Are tumse kya batayein k kitna chahte hain ham tumhe,
Banjar dharti ki pyaas ban gaye ho tum….

Wednesday 28 December 2011

kya naam du iss diwangi ko....................

Kya pata tha hume ki hum bhi kabhi aapse milenge
socha kisne tha ki ek din hum bhi pyar ke samandar mein kho jayenge
ye to rab ki meher hai ki is nacheez ko bhi usne kabil samjha
duva mein aapka haath humhe dena sahi samjha…





Tumhare dil ki awaaz..................

Bin bole tumhare dil ki awaaz mere dil tak pahunch jati hai
pyar mein dooriyan bhi mit jati hai
bas aisehi mujhe tumhare dil mein samhaye rakhna
pyar ka ye karava hamesha banaye rakhna.....

Teri Baho Me Simatne Ki Chahat Hai....................

Teri Baho Me Simatne Ki Chahat Hai,
Tere Sath Lipatne Ki Chahat Hai,
Khuda Ko Ek Nazar Dekhne ke Baad,
Tujh Par Mar Mitne Ki Chahat Hai,
Tere Sath Guzara Har Lamha,
Apne Har Pal Tere Sath Rehne Ki Aadat Ho Gayi Hai,
Tum Pyar Bhari Ek Nazar Daalo Mujh Par,
In Aankho Ke Sagar Me Doobne Ki Chahat Hai…

Tuesday 27 December 2011

Sham Se Tera Izhaar .................

Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai,
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai,
Diwane Hi To Hai Hum Tere,
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hai...........

humaari har shaam.................

Kuch is terha guzarti ab, humaari har shaam hai,
Ek haath tasveer unki to, aik haath jaam hai!
Bekaar hai yaad dilana ,k shaye ye haraam hai,
Sab kuch bhool jaate hain ,jab koi leta unka naam hai!
Hum to yehi kahenge, Mai be-wajah badnaam hai,
Dard-e-dil se humko to , pahunchaati ye araam hai!
Tabaah kerti hai sharaab, ghalat is per ilzaam hai,
Madadgaar ka badnaam hona to, qudrat ka nizaam hai!
Hum ghamkhaaron ka mai ko, Tah-e-dil se salaam hai,
Bina iske to khudaa jaane, kya humara anjaam hai!!!!!!!!!

Masoom Mahobbatt......................

Masoom hote hai jo mahobbat se anjan hote hai….
pal do pal mahobbat wale aksar be-iman hote hai…
jo najro se kuch keh jaye wo  mahobbat ke salaam hote hai….
jinki mahobbat masoom ho wo sachi mahobbat ke  insaan hote hai…….

Unki Aankhon Mein ..............

Doob Jata Hun Unki Aankhon Mein
Gahri Jheel Hain Unki Aankhein
Bah Jata Hun Unki Aankhon Mein
Bahti Nadiya Hain Unki Aankhein
Kho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Atha Sagar Hain Unki Aankhein
Jal Jata Hun Unki Aankhon Mein
Jwala Mukhi Hain Unki Aankhein
Bheeg Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kali Ghata Hain Unki Aankhein
Kya Se Kya Ho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kaisi Aur Kya Balaa Hain Unki Aankhein..

Haal kuch aisa..................

Haal kuch aisa hai apna,
lagta hai jaisa koi sapna,
thi main tanha is safar me,
ab koi ban gaya hai apna,
Saath tera paake o jaana,
khwaab poore ho gaye hain,
har ghadi bas tera chehra,
bas wahi laage hai apna…

Miss You...............

Ek Umer ke Baad Us ko Dekha
Aankhon Main Sawaal Thay Hazaron
Honton pe Magar Wohi Tabbassum
Chehrey pe Likhi hui Udasi
Awaaz Main Goonjti Judai
Main Kaise Shajar Se Katee Raah Tha
Woh Ponch Raha Tha Aansoo Merey
Lakin Badi Dair Ho Chuki Thi…

Monday 26 December 2011

Die In Love

Mohabbat har Insan ko ajmati hai,
kisi se ruth jati hai kisi pe muskurati hai,
Mohabat khel hi aisa hai
kisi ka kuch nahi jata aur kisi ki jaan hi chali jaati hai…

Die In Love

Mohabbat har Insan ko ajmati hai,
kisi se ruth jati hai kisi pe muskurati hai,
Mohabat khel hi aisa hai
kisi ka kuch nahi jata aur kisi ki jaan hi chali jaati hai…

Friday 23 December 2011

Pehchan..............

Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,
Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai …

Hasino Ke Mohabbat...............

Mat kar mere dost hasino se mohabbat
vo aankho se waar karti hain
maine inhi aankho se dekha hai
ki vo kitno se pyaar karti hain.............

Dil Ki Kitab..................

Wo pyar ka sabot dikhaya karte the…
Ansu baha ke hume manaya karte the…
Is zindagi main sirf aap se wasta hai…
Wo aksar hame batlaya karte the…
Sone ki fursat kise the….
Wo hume saari raat jagaya karte the…
Bechaini jab had se zyada badh jati the…
Tab wo jee bhar ke gale lagaya karte the…
Wo mohabbat karne wale badal gaye….
Jo har baat par “meri kasam” khaya karte the…
Jo ansu ki tarah behta gya wo raqt hu mai….
jise qadam qadam par ajmaya gya wo waqt hu mai…..
shayad isi tarah “honey” likhi meri taqdeer khuda ne ….
jise chahne wala to mila par chaha na gya aise shaqs hu mai…
Cherhra Gulab sa wo dikha kar chale gaye,
Iss Jism ko Patthar ka bana k Chale gaye,
Hum na de Sake Nazaro k Siva Kuch bhi,
Wo Hmaari Sanso Me khud ko Basa k chale Gaye..............

Truth

Maine us se Kaha -
Chhor do Ya "Tod do Muje"
Usne "Hass k Muje Gale LagaYa Aur Kaha"
Chhor Raha Aun "Aai  Tumhe",
Toot "Tum Khud Aogae."!!!!!!!!!!!!!!!

Thursday 22 December 2011

Ek din hum bhi duniya chod Jayenge!
Rukhsati ka kafan odh Jayenge!
Satana hai satalo dost,
Ek din rota hua sab ko chod Jayenge................
Yad Dil k wo Apni Bhul Jane Lage,
Wada Kiya Tha wo Wada tod k Jane Lage,
Kay Gila Hui Hum se Ye Bath do ,
Ajnabi ho Gye Hum Ya hum Bhi Gairo Me Aane Lage.............
Jb meri maut ka vo najara karenge,
Fir na dhoka kisi se dubare karenge,
Kal jb vo royege mayyit pe akar mare,
To khyab me b pukara karenge..............

Wednesday 21 December 2011

Daruuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu.

Gam mila is Kadar K ghabre k Pee gaye,
Thori mili Khushi to mila kare Pee gaye,
Hum nahi the Is kadar Peene k Aadi,
Sharab ko tanha dekha to taras kha k Peene Lagae....